
Mann ke sagar mein ek leher uthi...
sawal uthata hirdaya hai..
par kyun jawab se darr lagta hai..
kuch chahat hai dil mein..
phir na jaane kyun darr jata hai..
ruk jata hai.. theher jata hai..
yeh kaise Ulljhan mein fassi ho mein..
Kya yeh jawab janta hai..
ya sirf sawal uthata hai..
dil kyun darr jata hai..
kyun ghabrata hai..
kuch samajh nahi aata hai..
kaha jao.. kya karo..
yeh kaise Ulljhan mein fassi ho mein...
ek ajab sawal uthata hai..
yeh sach hai ya sapna..
sach, jo jiwan bar sath nibayega..
ya sapna, jo pal bar mein toot jayega..
sach,jo mera apna ho jayega..
ya sapna, jo dil tod kar muh mood jayega..
yeh kaise Ulljhan mein fassi ho mein..
ab to mann sawal uthata hai..
phuchta hai..
ki yeh kaise ulljhan..
jo bhatkaye..
soo sawal uthaye..
daraye aur tu ghabraye..
na,aisa to nahi thi mein..
ab yeh khoj karaye..
ha,Mann rukka..
ek jawab aaya..
kehta samay bada balwaan hai..
samay apna khel khud khel jaeyga..
aur tu bus dekhta reh jaeyga..
mat pad is ulljhan mein..
Hosh ka sahara le..
aur apni nauv paar laga..
is liye mat darr,na ghabra..
bus apni hosh jaga..
aur sabhi Ulljhano se bahar aa..
